Mmrigtrishna



  1. ye meri zindgi bhi kya hai
    mahaz ek mrigtrishna
     jisme zeene ki ichcha hote hue bhi
    ham marte hai har pal
    aur marne ki aakansha hote hue bhi 
    zeena parta hai har chan
    jeewan n mrityu ki
    is zizivisha mai 
    yatharth evam palayan
    k bozh ko sahate
    har kadam kabhi kabhi hamdam saaay bhi
     zeeye chale zate hai
    APNI APNI ZINDGI...

टिप्पणियाँ

  1. Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe
    main tera roop hoon joban main hi sanbhal mujhe

    mere hi dum se hain teri yeh dharkanai'n zinda
    main tera qalab hoon siney se mat nakal mujhe

    main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe
    yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe

    milain gay mujh main mohabat ke goher tujh ko
    main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe

    tu dharkanoo'n ko chorane ke fun se waqaf hai
    tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe

    usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera
    naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe

    main jin ko ley gaya bam-e-arooj par
    woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe

    जवाब देंहटाएं

एक टिप्पणी भेजें

लोकप्रिय पोस्ट