माँ तेरी रसोई

mahakti rasoi
mahakta ghar
woh anghithi k charo taraf
bethkar khana tabhi pakti rotiya
woh sarso ka sag kundi mai kuta hua
woh ghout ghout kar banai kheer
ek plate mai khate sab bachche
kuch pakke to parahte hote kuch kachche
aaj !!!!!!!!!!
han aaj!!!!!!!!!!!!!
kaha rah gya hai woh swad
aaj ki roti mai soundhi sugandh kaha hai
aha sag mixi mai pisa hua hai
kheer bhi instant ho gyi hai
kachchi ya paranthe ka swad bhi bhula sa gya hai
maaa
meri maa
mujhe ek bar
ek bar fir se louta le jao mere bachpan mai
mujhe fir se isi swad ka
man lalchata hai
thak gyi hu ab sanjeev se tips lete lete
ab tumhare hath ka sa
khana kyu nhi pak raha hai .............. .neelima nivia

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

लोकप्रिय पोस्ट