Aaj lout aao tum jaldi se
k yeh dil jid par utar aaya hai.
. Somvar ki subah se shanivar ki sham talak
tumne sirf meethi baato se
mere jee ko bahlaya hai
yeh dil zid par utar aaya hai ..
jimmedariya bhi bahut hai
to meri dushwariya bhi bahut
dil jo hamne tumko diya
badle mai dard-e-dil hi paya hai
yeh dil zid par utar aaya hai
shikwe/shikayate bhi karne hai
bahut meethi manuhaare bhi hai karni
jara khirki se bahar jhank kar dekho
chandni rat ka ghana saya hai
yeh dil zid par utar aaya hai
Roti hai ankhe par lab bhi muskate hai
bachche bhi subak kar so jate hai
janti bhi hu nhi rah sakte ek sath ham
k is ghar mai buzurgo ka saya hai
par kambakhat dil zid par utar aaya hai
bujurgo ki sehat,bachcho ki parai
unka bhavishya banane ki ghari aai
umar beet rahi meri bhi tere hijar mai
par tera man kyu pathraya hai
or mera dil bagawat par utar aaya hai
ajeeb si hai kashmkash
.or kashmash mai tum ham
jante hai ham bebasi dil ki
par dil kyu itna ghabraya hai
Rabba yeh dil zid par utar aaya hai
..(yeh poetry maine tab likhi thi jab mere hubby ki posting CHAMBA mai thi or mai yaha dehradun mai parents-in-law & bachcho sang thi )
बहुत सुन्दर अभिव्यक्ति..
जवाब देंहटाएंshukriya sir
जवाब देंहटाएंसुन्दर कविता...
जवाब देंहटाएंthnx rahul
जवाब देंहटाएं